[Wahdatul Wajood] Indian Salafi Ahle Hadith Ke Jhoote Ilzam ki haqeeqat

[Wahdatul Wajood] Indian Salafi Ahle Hadith Bhaion ke Gumrakun Jhoote Ilzam ki haqeeqat. 

Allah Ahle Hadith Bhaion ko Samajh de.Allah Musalmanon ko Har qism ki Bala aur Fitne se Hifazat Farmaye.

Bismillahir Rahmanir Raheem
"Jisne Allah ta'la ke sath SHIRK kiya Us par Allah ne JANNAT HARAAM kar di hai aur Uska THIKAANA JAHANNUM hai." [Surah Ma'idah: 72]

"Aap Keh dijiye ke Wo Allah Ek hai. Allah ta'la Be-Niyaaz hai. Na Us se Koi Paida hua Na Wo Kisi se Paida hua. Aur Na Koi Uska Hamsar hai." [Surah Iqlaas]



Aap (Ghair-Muqallideen) ne Fazaa'il-e-Sadaqaat se ek MAKTOOB (Letter) ka ek Tukra Nishaan zadah kiya hai Jo Darj-e-Zail hai.
"Ya Allah! Mu'af farmana ke Hazrat ke Irshaad se Tehreer hua hai. Jhoota hoon, Kuch Nahi hoon. Tera hi Zil hai Tera hi Wujood hai Mai Kya hoon Kuch Nahi aur Wo Jo Mai hoon Wo Tu hai aur Mai, Tu Khud SHIRK dar SHIRK hai."
Is Ibaarat par Aap logon ne 11 Sawaalaat Qayem kiye hain Jin se DEOBANDI HANAFIYON par SHIRK aur KUFR ki TOHMAT Aayed ki hai.
Jawab se pehle Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka Farmaan Suna deta hoon:
"Koi Shaqs kisi doosre Shaqs par Fusuq ya Kufr ki Tohmat Na Lagaaye kyonke Agar Wo Aisa Na hua to Ye TOHMAT Usi ki taraf (Ya'ni Tohmat lagaane waale ki taraf) Laut aati hai." [Bukhari Shareef]
Faza'il-e-Sadaqaat ki is ibaarat ki Jagah me Mai Sahih Bukhari ki Ek Hadees Qudsi aur Beihaqi ki ek Hadees Pesh kar raha hoon aur Un par Aap (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ke Sawaalaat Chaspa (fit) kar raha hoon. Aap log dekhiye ke Kis tarah Aap logon ki MA'NAVI TEHREEF sabit hoti hai.

1. Abu Hurairah (raz.) se rivayat hai ke Rasoolullah (Sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: "Allah ta'la ka irshaad hai, Jo shaqs Mere Kisi Wali se Dushmani karega, Mera Uske khilaf Ailaan-e-Jung hai. Meri Kisi Mehboob Cheez ke Zariye Mera Bandah mujhse Itna Qarb haasil Nahi kar sakta jitna is amal se kar sakta hai Jo maine us par FARZ kiya hai. Aur NAWAAFIL ke zariye mera Bandah mujhse barabar Qareeb hota rehta hai Yahan tak ke Mai Us se Muhabbat karne lagta hoon. Aur Jab Mai usey Mehboob bana leta hu to Mai uska Kaan ban jaata hu Jis se Wo Sunta hai aur Uski Aankh ban jata hu Jis se Wo dekhta hai. Aur Uska hath ban jaata hu Jis se Wo pakarta hai. Aur Uska Paer ban jata hu Jis se wo Chalta hai. Aur agar Wo mujh se maangta hai to Mai Usko Zaroor deta hu. Aur agar Wo Meri Panaah talab kare to Mai usey zarur Panah deta hu. Aur Jo bhi Kaam mujhe karna hota hai Usey karne me itni Narmi Nahi baratta Jitni Kisi Aise Momin ki Rooh (Qabz karne) me, Jo Maut (ki Takleef) ko Na pasand karta hai aur Mai uski Takleef ko Na pasand karta hu." [Sahih Bukhari Bab At-Tawaaze' 2/962,963]
2. Abdullah bin Umar (raz.) se rivayat hai ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaya: "Be-Shakk! Sultan (Baadshah, Ameer, Khalifah) Zameen me Allah ta'la ka Zil (Saaya) hai." [Shu'aibul Eimaan Beihaqi ba-hawala Mishkaat Kitabul Amaarah pg323]
In Ahaadees par Aap Logon ke Sawaalaat Mulaahiza ho..
2. Kya Ghair-Muqallideen Ulema' wa Juhala' ke Yahan SAHEEH BUKHARI aur deegar Ahaadees ki KUTAB ke zariye SHIRK ki ta'leem di jaati hai.?
3. "Tera hi Zil hai, Tera hi Wujood hai" Ye Aqeedah Wahdatul Wujood ka Aqeedah hai. Aisa Aqeedah rakhna Kufr hai kyonke Allah ta'la ka irshaad hai, "Uske Jaisa Koi Nahi hai" aur Zil ka matlab hota hai Aks (Saaya). Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ne irshaad farmaya hai ke Sultan, Allah ka Saaya hai. Phir Aap (Ghair-Muqallideen) ke Qoul ke mutabiq ...................... ke KUFR me Koi Shakk Reh gaya hai.? (Na'oozubillah min Zaalik)
4. "Wo Jo Mai hu, Wo Tu hai aur Mai, Tu Khud Shirk dar Shirk hai" aisa Aqeedah rakhna Allah ta'la ki Zaat me Khud ko Shareek karna hai aur is se bada SHIRK koi Nahi hai. Allah ta'la ka irshaad hai "Kaho ke Allah Ek hai." Mazkoorah SAHEEH BUKHARI ki Hadees-e-Qudsi hai Ya'ni Allah ta'la farmate hain ke, "Mai us (Bandey) ka Kaan ban jaata hu Jis se Wo Sunta hai aur Uski Aankh ban jata hu Jis se Wo dekhta hai. Aur Uska hath ban jaata hu Jis se Wo pakarta hai. Aur Uska Paer ban jata hu Jis se wo Chalta hai."
To Kya Aap (Ghair Muqallideen) ke Qoul ke mutabiq (Al Ayaazu billah) Khud Allah bade SHIRK ki Ta'leem de raha hai.? Aur Allah ta'la Khud Uske Kalaam ki Aayat "Qul Huwallahu Ahad" ka Mafhoom nahi samajhta.? (Na'oozubillah Min Zaalik). Khud Aap (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ke Sawaal ke mutabiq Allah ta'la aur Uske Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ke KUFR me Koi SHAKK reh gaya.? (Na'oozubillah Min Zaalik)
5. Kya aisi Ta'leemaat apne peeche Chhor kar Sirf ASTAGHFIRULLAH kehne se Chhutkaara mil jaayega.?
6. Aap logon ka Aqeedah, Allah aur Uske Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ki Ta'leemaat ke Khilaf hai, to Kya aisa Aqeedah rakhne wale Ghair-Muqallideen, Islam ke Daa'ire me rahe Ya Nahi.?
7. Agar Ye Ahaadees Ghalti se likh di gayi hain, to Kya Aap maan lenge ke Allah aur Uske Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) se itni KHATARNAAK Ghalti bhi ho sakti hai.? (Na'oozubillah Min Zaalik)
8. Jab se SAHEEH BUKHARI aur BEIHAQI likhi gayi hai, Tab se in Kitabon ki ta'leem di ja rahi hai to Awaam ko SHIRK ke raaste par daalne ka baar kis par hoga.?
9. Firqa Ahl-e-Hadees aur Firqa Ahl-e-Qur'an ke Aqaa'id me Kya FARQ hai.?
10. Agar Aap isey bhi KHWAAB kehte hain, to Kya aisa Khwab Kitabon me likh sakte hain Jis se Awaam ka Aqeedah Mushrikaanah ho.?
11. Ghair-Muqallideen Ulema' wa Juhala' ka Ye Aqeedah Islam ke Khilaf hai Ya Nahi.?
JAAYEZAH:
Aap (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ki ma'navi Tehreef ki wajah se SHIRK ki TOHMAT Allah (subhana wa ta'la) par Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) par aur Muhaddiseen par Aayed hoti hai aur Ye TEHREEF ka waazeh SABOOT hai Jo Aap Ghair-Muqallideen ki GHINAAONI HARKAT ka pata deti hai.
Humein Hairat hoti hai ke Jin Muqallideen ko Urdu ki ek saada si Ibarat parhne aur samajhne ki Tameez bhi Nahi hai, Wo Jamee' Ahl-e-Sunnat Wal Jama't par KUFR aur SHIRK ki Tohmat lagate hain. Nishaan zadah ibaarat to asal me Sheikhuk Mashaa'iq Qutbul Irshaad Maulana Rasheed Ahmad Gangohi (rah.) ki Tehreer kardah Khat (Letter) ka hissa hai jisey aap ne apne Murshid Sheikhul Arab wa Ajam Haaji Imdaadullah (rah.) ki Khidmat me likha. Aur Aap (Ghair-Muqallideen) sawalaat me Tehreer karte hain ke, Yahan par Shehkhul Hadees, Maulana Zakariyah (rah.) ne JHOOTA hone ka aitraaf kiya hai. Tumhein itni bhi Tameez Nahi ke Kaise bade A'immah aur Ulema' par Aitraaz karta hai.
Akheer me Ye zaruri samajhta hoon ke Ulema'-e-Deoband ke Haan "WAHDATUL WUJOOD" ka Saheeh Maf'hoom bayan kiya Jaaye.
Maulana Mufti Muhammad TAQI USMANI (Damatu Barakaatuhum) Aqeedah WAHDATUL WUJOOD ki Haqeeqat bayan karte hue likhte hain: "WAHDATUL WUJOOD ka Sahih Matlab Ye hai ke Is Kaa'inaat me Haqeeqi aur Mukammal WUJOOD (Existence) sirf Zaat-e-Baari Ta'la ka hai. Iske siva har Wujood be-sabaat, faani aur Na-Mukammal hai. Ek to isliye ke Wo ek na ek din Fanaa ho jayega, doosre isliye ke har Sha'i (Cheez) apne Wujood me Zaat-e-Baari Ta'la ki MUHTAAJ hai. Lihaza ashya' (Cheezein) humein is Kaa'inaat me nazar aati hain, inhein agarcha Wujood haasil hai lekin Allah ke Wujood ke saamne is Wujood ki Koi Haqeeqat Nahi, isliye Kal-Adam hai.
Iski NAZEER yun Samjhiye Jaise Din ke waqt Aasmaan par Sooraj ke maujood hone ki wajah se Sitaare (Stars) Nazar nahi aatey, Wo agarcha maujood hain, lekin Sooraj ka Wujood un par Is tarah Ghaalib ho jata hai ke unka Wujood Nazar hi Nahi aata."
Isi tarah Jis Shaqs ko Allah ne Haqeeqat shanaas Nigaah di ho Wo Jab is Kaa'inaat me Allah ta'la ke Wujood ki mu'arifat haasil karta hai to Tamam Wujood usey Heich, Maand, balke Kal-adam nazar aate hain. Baqoul Hazrat Majzoob (rah.):
Jab Mehr Numaaya hua, Sab Chhip gaye Taare.
Tu Mujhko bhari Bazm me Tanha Nazar aaya.. 
 [Fataawa Usmaani 1/66, Tiba' Karachi]
Ye raha Wahdatul Wujood ka Saheeh Maf'hoom. Wahdatul Wujood ka Ye matlab hargiz Nahi ke Makhlooq bhi Khuda hai (Al Ayaazu billah) aur Na Ye matlab hai ke Makhlooq ka Koi Wujood hi Nahi.
Allah ta'la se dua' hai ke har Gumraah ko Hidaayat farmaaye. Aur Jo Hidaayat par hain Unko marte Dum tak Hidaayat par Qayem rakhe. (Aameen Summa Aameen)
Taken with thanks from 
www.ownislam.com/articles/roman-articles/2101-fazaail-e-aamaal-par-aitraaz-aur-ghair-muqallideen-ke-jahilana-sawalat

No comments:

Post a Comment